koi nahin ki yar ki lawe khabar mujhe ai sail-e-ashk tu hi baha de udhar mujhe ya subh ho chuke kahin ya main hi mar chukun ro baithun is sahar hi ko main ya sahar mujhe na dair hi ko samjhun hun na kaba ye tera phirta hai ishtiyaq liye ghar-ba-ghar mujhe minnat to sar pe tesha ki farhad tab main lun jab sar patakne ko na ho diwar-o-dar mujhe kya jaun jaun karta hai jaanan to baith ja main dekhun tujh ko aur tu dekh ek nazar mujhe phir koi dam mein aah khuda jaane ye falak le jawe kis taraf ko tujhe aur kidhar mujhe rona kabhi jo aaankhon bhi dekha na tha 'hasan' so ab falak ne dil ka kiya nauhagar mujhe