tohfa-e-gham bhi mila dard ki saughat ke baad phir bhi dil khush na hua itni inayat ke baad umr-bhar dhundte phirte hi rahe apna wajud khud se hum mil na sake un se mulaqat ke baad main hun jab tak to samajh lijiye sab kuchh hai yahan kuchh na rah jaega duniya mein meri zat ke baad kitni tarikiyan guzrin to ujala dekha husn aaya hai nazar kitne hijabaat ke baad zindagi teri tawazoa bhi main karta lekin na bacha kuchh bhi lahu gham ki mudaraat ke baad hath aae hue lamhat na chhodo warna kuchh na hath aaega guzre hue lamhat ke baad aaega daur-e-masarrat bhi yaqinan 'fazil' kya nahin hoti hai duniya mein sahar raat ke baad