tolta kya mujhko koi jauhari mizan mein

tolta kya mujh ko koi jauhari mizan mein
main tha mera aur pada tha koele ki kan mein

tum se to hota nahin hai e'tiraf-e-fan mera
chand jumle main hi kahta hun tumhaari shan main

barsar-e-paikar us ko dekh kar sab shad the
ja laga sahil se wo tinka magar tufan mein

saj rahi hain phir siyasi mandiyan chaaron taraf
dekhna tabdil hoga shahr qabristan mein

ishq mein sahra-nawardi ras kya aati mujhe
wo tha koi aur jo phirta tha registan mein

'faiz' ye mujh ko yaqin hai sazishon ke bawajud
phulti phalti rahegi urdu hindostan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close