tosha-e-dhup se jismon ko tarashe suraj kabhi patthar pe bhi kuchh naqsh ubhaare suraj muddaten guzrin andheron mein basar karta hun meri basti mein kabhi koi ugae suraj main ki girwida-e-shab hun ye baja ham-nafaso par kabhi aa ke sadaen de pukare suraj shab ke daman mein bhi hain chand sitare lekin dhup pahlu mein liye aankh dikhae suraj teri yaadon ka karam meri nigahon ki 'tapish' thak gaya hun meri palkon se uthae suraj