roz dohraenge jab sham-o-sahar ki tarikh kaise badlegi bhala aap ke ghar ki tarikh un fazaon mein koi badh ke dikhae to kamal khud-ba-khud hogi raqam bazu-e-par ki tarikh apne bachchon ko na den pae kabhi koi khushi sirf hum likhte rahe apne hunar ki tarikh lutne wale kabhi lut na paenge mujhe main bata dunga agar rakht-e-safar ki tarikh apni tarikh pe is darja bharosa hain hamein hum na dekhenge idhar aur udhar ki tarikh lakh be-yar-o-madadgar phire sahil par qaid rahti hai sadaf mein hi guhar ki tarikh 'mir'-o-'ghaalib' jinhen kahta hai zamana 'shahid' un ke har sher mein hai fikr-o-nazar ki tarikh