tu aashna-e-jazba-e-ulfat nahin raha dil mein tere wo zauq-e-mohabbat nahin raha phir naghma-ha-e-qum to faza mein hain gunjte tu hi harif-e-zauq-e-samaat nahin raha aain kahan se aankh mein aatish-chikaniyan dil aashna-e-soz-e-mohabbat nahin raha gul-ha-e-husn-e-yar mein daman-kash-e-nazar main ab haris-e-gulshan-e-jannat nahin raha shayad junun hai mail-e-farzangi mera main wo nahin wo aalam-e-wahshat nahin raha mamnun hun main tera bahut marg-e-na-gahan main ab asir-e-gardish-e-qismat nahin raha jalwa-gah-e-khayal mein wo aa gae hain aaj lo main rahin-e-zahmat-e-khalwat nahin raha kya faeda hai dawa-e-ishq-e-husain se sar mein agar wo shauq-e-shahadat nahin raha