ab faisla karne ki ijazat di jae ya phir hamein manzil ki bashaarat di jae diwane hain hum jhut bahut bolte hain hum ko sar-e-bazar ye izzat di jae phir gard-e-mah-o-sal mein at jaenge aaina banaya hai to surat di jae israr hi karte ho to apna samjho dena hi agar hai to mohabbat di jae wo jis ne mujhe qatl pe uksaya tha us shakhs se milne ki bhi mohlat di jae jab meri gawahi bhi mere haq mein nahin phir shahr mein kis kis ki shahadat di jae hum jagte rahne ke bahut aadi hain hum ko shab-e-hijran ki masafat di jae chhid jae to tabqat ki ab jang 'salim' kuchh bhi ho magar hum ko na zahmat di jae