tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar misr o hijaz se guzar paras o sham se guzar jis ka amal hai be-gharaz us ki jaza kuchh aur hai hur o khiyam se guzar baada-o-jam se guzar garche hai dil-kusha bahut husn-e-farang ki bahaar taerak-e-buland-baam dana-o-dam se guzar koh-shigaf teri zarb tujh se kushad-e-sharq-o-gharb tegh-e-hilal ki tarah aish-e-niyam se guzar tera imam be-huzur teri namaz be-surur aisi namaz se guzar aise imam se guzar