tu asir-e-bazm hai ham-sukhan tujhe zauq-e-nala-e-nai nahin tera dil gudaz ho kis tarah ye tere mizaj ki lai nahin tera har kamal hai zahiri tera har khayal hai sarsari koi dil ki baat karun to kya tere dil mein aag to hai nahin jise sun ke ruh mahak uthe jise pi ke dard chahak uthe tere saz mein wo sada nahin tere mai-kade mein wo mai nahin kahan ab wo mausam-e-rang-o-bu ki ragon mein bol uthe lahu yunhi nagawar chubhan si hai ki jo shamil-e-rag-o-pai nahin tera dil ho dard se aashna to ye nala ghaur se sun zara bada jaan-gusil hai ye waqia ye fasana-e-jam-o-kai nahin main hun ek shair-e-be-nawa mujhe kaun chahe mere siwa main amir-e-sham-o-ajam nahin main kabir-e-kufa-o-rai nahin yahi sher hain meri saltanat isi fan mein hai mujhe aafiyat mere kasa-e-shab-o-roz mein tere kaam ki koi shai nahin