tum puchho aur main na bataun aise to haalat nahin ek zara sa dil tuta hai aur to koi baat nahin kis ko khabar thi sanwle baadal bin barse ud jate hain sawan aaya lekin apni qismat mein barsat nahin tut gaya jab dil to phir ye sans ka naghma kya mani gunj rahi hai kyun shahnai jab koi baraat nahin gham ke andhiyare mein tujh ko apna sathi kyun samjhun tu phir tu hai mera to saya bhi mere sath nahin mana jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai lekin mujh ko ye to bata de kya tu aurat zat nahin khatm hua mera fasana ab ye aansu ponchh bhi lo jis mein koi tara chamke aaj ki raat wo raat nahin mere ghamgin hone par ahbab hain yun hairan 'qatil' jaise main patthar hun mere sine mein jazbaat nahin