tu bhali baat se hi meri khafa hota hai aah kya chahna aisa hi bura hota hai tere abru se mera dil na chhutega hargiz gosht nakhun se bhala koi juda hota hai main samajhta hun tujhe khub tarah ai ayyar tere is makr ke ikhlas se kya hota hai hai kaf-e-khak meri bas-ki tab-e-ishq se garm panw wan jis ka pade aabla-pa hota hai dil mera hath se jata hai karun kya tadbir yar muddat ka mera hae juda hota hai rahbar manzil-e-maqsud ko darkar nahin shauq-e-dil apna hi yan rah-numa hota hai ghair harjai mera yar liye jata hai mujh pe 'taban' ye sitam aaj bada hota hai