unhen kyun phul dushman eid mein pahnae jate hain wo shakh-e-gul ki surat naz se bal khae jate hain agar hum se khushi ke din bhi wo ghabrae jate hain to kya ab eid milne ko farishte aae jate hain wo hans kar kah rahe hain mujh se sun kar ghair ke shikwe ye kab kab ke fasane eid mein dohrae jate hain na chhed itna unhen ai wada-e-shab ki pashemani ki ab to eid milne par bhi wo sharmae jate hain 'qamar' afshan chuni hai rukh pe us ne is saliqe se sitare aasman se dekhne ko aae jate hain