tu bhi wahan nahin mohabbat jahan nahin har aastan-e-husn tera aastan nahin ulfat ki thin dalil teri bad-gumaniyan ab bad-guman main hun ki tu bad-guman nahin dilkash hai gulsitan bhi tere husn ki tarah lekin teri ada ki tarah dil-sitan nahin nemat mili hai tum ko jawani ki dosto afsos hai ki azm tumhaara jawan nahin kyunkar kahun ki log hain su-e-adm-e-rawan is karwan mein gard-e-pas-e-karwan nahin hai be-niyaz-e-shadi-o-gham meri be-khudi ye wo chaman hai jis mein bahaar o khizan nahin nadim mera sukut ki hai qalb-sog-war duniya samajh rahi hai khamoshi fughan nahin