aKHbar kya ki apni bhi KHair-o-KHabar se dur

akhbar kya ki apni bhi khair-o-khabar se dur
kuchh roz chal ke rahte hain fikr-o-nazar se dur

pahle thin raaten ghair-zaruri safar se dur
ab din guzarna nahin aasan ghar se dur

shab se sahar se sham se pichhle pahar se dur
har justuju hai jaise guzar se basar se dur

rakh zehn ko futur se aur dil ko dar se dur
matlub hai shuur ko rakhna jo shar se dur

har tarah ke gurez hazar aur mafar se dur
aa chal ke dekhen ab kisi sidhi dagar se dur

az khud nahin ye sare musakhkhar nazar se dur
hum din mein shams aur hain shab mein qamar se dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close