tu bigadta bhi hai khas apne hi andaz ke sath phul khilte hain tere shoala-e-awaz ke sath ek bar aur bhi kyun arz-e-tamanna na karun ki tu inkar bhi karta hai ajab naz ke sath lai jo tuti to sada aai shikast-e-dil ki rag-e-jaan ka koi rishta hai rag-e-saz ke sath tu pukare to chamak uthti hain meri aankhen teri surat bhi hai shamil teri aawaz ke sath jab tak arzan hai zamane mein kabutar ka lahu zulm hai rabt rakhun gar kisi shahbaz ke sath past itni to na thi meri shikast ai yaro par samete hain magar hasrat parwaz ke sath pahre baithe hain qafas par ki hai sayyaad ko wahm par-shikaston ko bhi ek rabt hai parwaz ke sath umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-watan ye alag baat ki dafnaenge eazaz ke sath