tu chand hai to chand-nagar mujh se chhin le main kya karunga khak-basar mujh se chhin le ab teri be-rukhi ka bhi aata hai yun khayal jaise koi mata-e-digar mujh se chhin le tu khud hi apni tarz-e-sitam par nigah rakh main kya kahun ye dard-e-jigar mujh se chhin le daste rahenge zehn ko kab tak mushahidat yarab ye imtiyaz-e-nazar mujh se chhin le pahchanti nahin hai use jab kisi ki aankh be-kar hai nishan-e-hunar mujh se chhin le ru-e-sahar tu khair mujhe kya dikhaega tu aarzu-e-did-e-sahar mujh se chhin le