bin tere kya karun jahan le kar ye zamin aur ye aasman le kar ashk chhalkae baal bikhrae wo gae meri dastan le kar do jahan ki talab se farigh hun tera dar tera aastan le kar ud gae sab chaman ko rah gae hum chaar tinkon ka aashiyan le kar rang-e-mahfil tera badhane ko aae hum chashm-e-khun-fishan le kar sab gae puchhne mizaj un ka main gaya apni dastan le kar sab phire le ke apne yusuf ko main phira gard-e-karwan le kar sab ude le ke phul gulshan se aur hum apna aashiyan le kar meri taqdir kya bataun 'jalil' ja rahi hai kahan kahan le kar