tu ek nam hai magar sada-e-khwab ki tarah main ek harf hun magar nishan-e-ab ki tarah mujhe samajh ki main hi asl raaz-e-kaenat hun dhara hun tere samne khuli kitab ki tarah main koi git hun magar sada ki bandishon mein hun mere lahu mein rag hai sam-e-azab ki tarah meri panah-gah thi unhi khalaon mein kahin main sath-e-ab par raha habab-e-ab ki tarah main 'asghar'-e-hazin kabhi kisi ke doston mein tha wo din bhi mujh ko yaad hain khayal-e-khwab ki tarah