dukh nawishta hai to aandhi ko likha aahista ai khuda ab ke chale zard hawa aahista aahista khwab jal jaen meri chashm-e-tamanna bujh jae bas hatheli se ude rang-e-hina aahista zakhm hi kholne aai hai to ujlat kaisi chhu mere jism ko ai baad-e-saba aahista tutne aur bikharne ka koi mausam ho phul ki ek dua mauj-e-hawa aahista jaanti hun ki bichhadna teri majburi hai par meri jaan mile mujh ko saza aahista meri chahat mein bhi ab soch ka rang aane laga aur tera pyar bhi shiddat mein hua aahista nind par jal se padne lage aawazon ke aur phir hone lagi teri sada aahista raat jab phul ke rukhsar pe dhire se jhuki chand ne jhuk ke kaha aur zara aahista