tu ek wahm hai is ke siwa nahin kuchh bhi so mere dil ke liye aasra nahin kuchh bhi ye dhup dhalti hui umr ki munderon se ye jism bujhte hue aur sila nahin kuchh bhi wo nind aur kisi nam se hui mansub magar wo khwab ki tere siwa nahin kuchh bhi main zard phul hun main ek charagh lau ke baghair mere liye koi barish hawa nahin kuchh bhi tu mere waste sab kuchh hai yani sab kuchh hai tere liye main nahin kuchh to ja nahin kuchh bhi to kya main tujh ko kabhi yaad bhi nahin aata to kya tu mere liye sochta nahin kuchh bhi ye kaisa mod hai ye kaisi raegani hai koi dua koi harf-e-dua nahin kuchh bhi ye log aap khuda ban gae hain in ke liye hujum-e-khalq-e-khuda kya khuda nahin kuchh bhi