wo meri ruh ko zakhmon ke hawale kar ke ja rahe hain mere ehsas mein chhaale kar ke kal the mahbub magar sath the kya ye kam tha hum ne dil kho diya tanhai mein nale kar ke teri yaadon ne pareshan kiya tha itna teri taswir ko dekha hai ujale kar ke meri taqdir mein ban-was likha tha lekin aaya pardes use man ke hawale kar ke ek insan ki aamad ka yahi moajiza hai de gaya hum ko wo sadiyon ke ujale kar ke sune sune se hain manzar kai sadiyon se yahan zindagi kaise jiyun jaan ke lale kar ke ghar ki diwaron mein hum qaid rahenge kab tak ja-ba-ja makdi ke har samt yun jale kar ke dip ummid ka raushan hai mere dil mein abhi laut aaoge kabhi aap ujale kar ke