tu farishta na hua to na pasheman hona hai badi shai yahan insan ka bhi insan hona mana mushkil hai magar ab ye hunar sikhenge kya khabar thi ki padega hamein aasan hona kya zaruri hai taqabul kisi ka shishe se zat mein ho na agar aks pe nazan hona tang-jaani hai yun bhi khal-o-khad-o-paikar mein dam nahin ghot de ehsas-e-farawan hona khel pardon ka hai sara sar-e-mimbar us ka wo ayan hona kabhi aur kabhi pinhan hona hum ujalon ke jale hain so andheron mein hai ras aaega nahin hum ko charaghan hona zulm hai bandhna hum ko yun had-e-imkan mein aur khud is ka baid-e-had-e-imkan hona