tu hai ki chistan ki ibarat hai tah-ba-tah dil hai ki sang-basta-e-hairat hai tah-ba-tah jo aankh dekhne mein kharaba dikhai de samjho ki is mein koi amanat hai tah-ba-tah bahr-e-ana hun meri tahon mein utar ke dekh khwabida mujh mein waqt ki mayyat hai tah-ba-tah wo chashm-e-surma-sa ki jise be-zaban kahen us ki khamoshiyon mein ishaarat hai tah-ba-tah fursat kahan ki ghair se hum dushmani karen apna wajud ek musibat hai tah-ba-tah shayad koi gaya ho zamane se kaamgar apni to zist kan-e-nadamat hai tah-ba-tah