teri nigah-e-lutf bhi nakaam hi na ho

teri nigah-e-lutf bhi nakaam hi na ho
dil to wo zakhm hai jise aaram hi na ho

chaunka hun nim-shab bhi yahi soch soch kar
wo aaftab ab bhi lab-e-baam hi na ho

tum jis ko jaante ho faqat apni tab-e-khas
wo ranj wo fasurda-dili aam hi na ho

aahista is larazte hue pul pe rakh qadam
sadiyon ka inhidam tere nam hi na ho

ai dil mafar to kar-e-jahan se nahin magar
itna to kar ki is mein subuk-gam hi na ho

dastak si de rahi hai dariche pe baad-e-subh
ai mahw-e-khwab sun koi paigham hi na ho

'khurshid' tu ne kaise nibhain ye uzlaten
jaise tujhe kisi se koi kaam hi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close