tu hi is shahr mein hai ek shanasa meri ab kahin le ke mujhe chal shab-e-tanha meri le gaya sath hi apne wo mere khwab-o-khayal zindagi ab bhi wahi hai tah o baala meri us ki aankhon mein bhi pahchan ke dore na mile dil ki dhadkan bhi salamat thi sarapa meri main ki apna hi pata puchh raha hun sab se kho gai jaane kahan umr-e-guzishta meri chandni jis ke sarapa mein simat aai thi aankh ab bhi hai usi husn ki juya meri ab bhi ek bhid hai yusuf ke kharidaron ki ab bhi istada hai bazar mein duniya meri dosh par sar ki jagah turra-e-dastar mile aankh ab le le koi mujh se khuda-ya meri