tu is gharib ka kya iztirab jaanta hai nawa-e-dasht ko bhi jo sarab jaanta hai amir-e-shahr tumhaari ghadi ke nirkh se kya gharib-e-shahr to sau tak hisab jaanta hai hamara rabt hai hur ke qabile se yaro charagh bujhne ko jo inqalab jaanta hai kisi basit musibat ka ye tadaruk hai jise shikayati mohlik 'azab jaanta hai asir zehn ki ghurbat mulahiza kije amir shakhs ko aali janab jaanta hai ye kotwal ki aankhon mein kya khalal hai janab hamari aankh ki surkhi ko nab jaanta hai ye rah-e-'ishq hai is ke safar mein hijran hai wahi uthae qadam jo nisab jaanta hai najaf ke wali ki hikmat ‘azim hai 'zamzam' sawal karne se pahle jawab jaanta hai