yahi kaha tha ki khasta-zaban mein baat na kar ab itni baat pe tark-e-ta'alluqat na kar tumhein sikha diya tha hum ne dil-lagi ka hunar khuda ka nam le ab yun hamare sath na kar mujhe khabar hai ki ehsan asir karta hai tu aisa kar ki mujhe bar-e-iltifat na kar usi ke dudh se tu ne jawani pai hai muhafiza usi basti mein wardat na kar hamari billi hamein myaun myaun karti hai kya hudud-e-zat mein rah yun tajawuzat na kar gharib-e-sham ki tarkib musta'ar le le palid zikr se guftar-e-wahiyat na kar main jaanta hun kinara-kashi ko aaya hai tu apna hukm suna yun guzarishat na kar abhi piyaada sar-e-shah ka muhafiz hai abhi bisat palat dunga shah ko mat na kar kisi 'aziz ko hai intizar ai 'zamzam' jawan zindagi hai nazr-e-hadsat na kar