tu jab ghar se chala jata hai pichhe rah bhi kya jata hai mar jaane wali har shai par mera nam likha jata hai barf ka ek ek aansu pi kar dariya wajd mein aa jata hai shayad us ne dastak sun li dekho dar khulta jata hai alif samajh mein aa jawe to sab kuchh padhna aa jata hai aaine ko 'ashk' dikhane mere sath khuda jata hai