tu jo badla to zamana bhi badal jaega ghar jo sulga to bhara shahr bhi jal jaega samne aa ki mera ishq hai mantiq mein asir aag bhadki to ye patthar bhi pighal jaega dil ko main muntazir-e-abr-e-karam kyun rakkhun phul hai qatra-e-shabnam se bahal jaega mausam-e-gul agar is haal mein aaya bhi to kya khun-e-gul chehra-e-gulzar pe mal jaega waqt ke panw ki zanjir hai raftar-e-'nadim' hum jo thahre to ufuq dur nikal jaega