tair ke liye din raat ka dar dahliz pe rizq aur taq mein ghar sab rauzan-e-zindan band hue ya kuchh na raha zindan se udhar bahar ye qadam niklen to khule zanjir madad karti hai ki dar maqtal ki zamin se phul ugen jata hai kahin mitti ka asar nind aati hai us ke sae mein gir jae ye diwar agar hum sog hain jage sapnon ka ai raat hamein mahsus na kar jalwaon se bahut nazdik ho tum ai bul-hawso daman pe nazar hai apna qayam is aalam mein shabnam ka basera kante par ya sirf dagar thi waqt na tha ab sirf hai waqt ka nam dagar kuchh apni pyasen bujh bhi gain kuchh qarz hain dariya-noshon par