tu kahan hai tujh se ek nisbat thi meri zat ko kab se palkon par uthae phir raha hun raat ko mere hisse ki zamin banjar thi main waqif na tha be-sabab ilzam main deta raha barsat ko kaisi basti thi jahan par koi bhi aisa na tha munkashif main jis pe karta apne dil ki baat ko sari duniya ke masail yun mujhe darpesh hain tera gham kafi na ho jaise guzar-auqat ko