tu khud kahan hai qafila-e-salar dekhna ab hum kahan hain aalam-e-raftar dekhna hum chal pade hain manzil-e-maqsud ke liye ab sang dekhna hai na diwar dekhna tazin-e-gulsitan se nahin wasta jinhen un ke gharon mein phul ke ambar dekhna jab izn-e-arz-e-haal diya hai to chup raho ab narawa hai talkhi-e-guftar dekhna ai baghban na dekh hiqarat se is tarah jab hum na hon to aalam-e-gulzar dekhna aae to koi marka-e-hashr samne ahl-e-junun ka jazba-e-isar dekhna adna samajh rahe ho hamari bisat ko yaro sabaat-e-azm sar-e-dar dekhna sau bar main ne un ko pukara hai ai 'nasir' guzra bahut garan unhen ek bar dekhna