jaan se guzre bhi to dariya se guzarenge tumhein sath mat chhodna hum par utarenge tumhein tum suno ya na suno hath badhao na badhao dubte dubte ek bar pukarenge tumhein dil pe aata hi nahin fasl-e-tarab mein koi phul jaan, is shakh-e-shajar par to na warenge tumhein khel ye hai ki kise kaun siwa chahta hai jit jaoge to jaan nazr guzarenge tumhein kaisi zebai hai jab se tumhein chaha hum ne aur chahenge tumhein aur sanwarenge tumhein ishq mein hum koi dawa nahin karte lekin kam se kam marka-e-jaan mein na haarenge tumhein