tu mai-kada mein ek aisa nizam paida kar ki sab ke lab ko jo pahunche wo jam paida kar rida-e-hijr mein lipti rahe tabiat-e-shauq sahar ki yaad bhula de wo sham paida kar labon pe nam agar aa gaya to fakhr nahin jo ho sake to dilon mein maqam paida kar sukhan muhaal nahin un ki anjuman mein magar bas itni shart hai ek khush-kalam paida kar