tu muamma hai to hal is ko bhi karna hai mujhe tu samundar hai to phir tah mein utarna hai mujhe tu ne socha tha ki jalwon se bahal jaunga aise kitne hi sarabon se guzarna hai mujhe karb jitna hai teri aankh mein barsa de magar isi girdab mein phans kar to ubharna hai mujhe phir bapa hai wahi jazbaat ka tufan to kya isi bigde hue mausam mein sanwarna hai mujhe in dinon chand ki taskhir ki hai fikr ki kal chandni ban ke zamane mein utarna hai mujhe kis tarah chhod dun is shahr ko ai mauj-e-nasim yahin jina hai mujhe aur yahin marna hai mujhe ruk gaya waqt palat aai hain biti sadiyan yahi wo lamha hai jab 'sham' bikharna hai mujhe