tu mubtala-e-ishq hai gham ka nisab dhund unwan jis ka hijr ho aisi kitab dhund auron ki raushni pe na rakh tu buri nazar apni hi chhat ke niche koi aaftab dhund koshish ko apni ek naya rang-rup de dil ke ujad bagh mein taza gulab dhund ye nek hastiyan hain yahan mera kaam kya tu mere waste koi ja-e-kharab dhund ya mujh ko dast-e-yar se pani ka ghunt de ya jo ragon ko tar kare aisi sharab dhund wo jis pe chand roz takabbur raha tujhe 'ariz' kahan gaya tera zor-e-shabab dhund