kahin jine se main darne laga to ajal ke waqt hi ghabra gaya to ye duniya ashk se gham napti hai agar main zabt kar ke rah gaya to khushi se nind mein hi chal basunga wo gar khwabon mein hi mera hua to ye unchi buildingen hain jis ke dam se wo khud footpath par soya mila to main barson se jo ab tak kah na paya labon tak phir wahi aa kar ruka to qarine se saja kamra hai jis ka wo khud andar se gar bikhra mila to lakiron se hain mere hath khali magar phir bhi jo wo mujh ko mala to yahan har shakhs ro dega yaqinan ghazal gar main yunhi kahta raha to safar jari hai jis ke dam pe 'kanha' agar naraaz wo jugnu hua to