tu mujhe sunti rahi aur main tujhe padhta raha shahr mein apni mohabbat ka bahut charcha raha waise kitni ladkiyon ne aazmai qismaten aur meri shaeri mein ek hi chehra raha tir nazron se chala maidan-e-dil ghayal hua ek akela shakhs sare dard ko sahta raha tez jhonkon ne hawa ke gul kiye kitne charagh phir bhi andhere mein dil ban ke diya jalta raha sardiyan aa ke gain wo sweater bunti rahi main december january mein thand se ladta raha