tu mujh ko sun raha hai to sunai kyun nahin deta ye kuchh ilzam hain mere safai kyun nahin deta mere hanste hue lahje se dhoka kha rahe ho tum mera utra hua chehra dikhai kyun nahin deta nazar-andaz kar rakkha hai duniya ne tujhe kab se kisi din apne hone ki duhai kyun nahin deta main tujh ko dekhne se kis liye mahrum rahta hun ata karta hai jab nazren rasai kyun nahin deta kai lamhe chura kar rakh liye tu alag mujh se tu mujh ko zindagi-bhar ki kamai kyun nahin deta khud apne-ap ko hi gher kar baitha hai tu kab se ab apne-ap se khud ko rihai kyun nahin deta main tujh ko jit jaane ki mubarakbaad deta hun tu mujh ko haar jaane ki badhai kyun nahin deta