kis karan itne rangon se yari kis karan ye dhang jitne rang bhi chaho zist mein bhar lo maut ka ek hi rang nam-o-numud se itni duri thik hai lekin aakhir kyun sare jahan se qaus-e-quzah ka rishta apne aap se jang pal mein dhajji dhajji bikharne wali aisi hai ye zist ek se ziyaada bachchon ke hathon mein jaise kati patang umr bita di apnon aur ghairon ke naqsh banane mein jab apni taswir banana chahi phike pad gae rang main ek likhne wala mujh ko batana yar ahmad-'parwez' lauh-o-qalam se aage bhi hai kya ye duniya itni tang