tu na aaya teri yaadon ki hawa to aai dil ke tapte hue sahra pe ghata to aai main to samjha tha ki ab koi na apna hoga tere kuche se magar ho ke saba to aai mere marne ki sahi jaan se guzarne ki sahi mere haq mein tere honton pe dua to aai dil-dahi ka jo saliqa nahin aaya na sahi aap ko dil ke dukhane ki ada to aai ho gaya aap-hi-ap aaj mudawa apna gar masiha nahin aaya to qaza to aai mujh ko shikwa nahin ab qasim-e-qismat se 'shakeb' kuchh na aaya mere hisse mein wafa to aai