sath ghurbat mein koi ghair na apna nikla main faqat dard ke sahra mein akela nikla main ne mangi thi shab-e-gham ke guzarne ki dua aur mere ghar se bahut dur ujala nikla koi chehra na koi aks nazar aata hai apni taqdir ka aaina bhi andha nikla zindagi kis se ab ummid-e-mudawa rakkhe dushman-e-jaan to mera apna masiha nikla wo tera rang-e-wafa ho ki tera tarz-e-jafa main har ek rang mein taswir-e-tamanna nikla kyun na duniya ko mere qatl pe hairat hogi sath mere mere qatil ka janaza nikla main bhi to kaun si rakhta hun mohabbat us se apne dushman ki tarah main bhi to andha nikla koi tohfa na koi khat na kisi ki taswir aur mere ghar se tere gham ke siwa kya nikla kat gai umr chhupae hue gham apna 'shakeb' apne munh se na kabhi harf-e-tamanna nikla