tu nahin hoga magar ye silsila rah jaega tere hone ka tasawwur ja-ba-ja rah jaega qurbaton ki rah se ho kar guzar jaenge hum manzilon par darmiyan bas fasla rah jaega kis ne socha tha ki ye itna hasin ek waqia ek din sine mein ban kar hadsa rah jaega rah-e-dil ko raund kar aage nikal jaenge log aankh mein uthta ghubar-e-qafila rah jaega main kahin kho jaunga le kar nigah-e-shuq-e-did tu charagh-e-husn le kar dhundhta rah jaega kya yunhi khamosh duniya se guzar jaenge hum kya jo kahna hai wo sab kuchh an-kaha rah jaega jab kahin kuchh bhi nahin tha bas khuda tha aur phir jab kahin kuchh bhi na hoga bas khuda rah jaega