ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai wafa ki aazmaish par jafa ki baat hoti hai ye kaisa daur-daura hai qalam-ru-e-mohabbat mein buton ka hukm chalta hai khuda ki baat hoti hai koi gunjaish-e-faryaad-o-shikwa tak nahin baqi khata-e-be-gunahi par saza ki baat hoti hai bhar aata hai dil-e-mahrum-e-pursish dard-mandi se kahin bhi jab kisi dard-ashna ki baat hoti hai phir us ke baad kaam aata hai jazba dub marne ka talatum tak khuda-o-na-khuda ki baat hoti hai duaon ke bharose par bigadte kaam bante hain dawa be-sud thahre to dua ki baat hoti hai 'rishi' qanun-e-qudrat hai amal-dari taghayyur ki maqam-e-intiha par ibtida ki baat hoti hai