tu ne aisa bhi kya kiya mujh par

tu ne aisa bhi kya kiya mujh par
be-asar ho gai dawa mujh par

main hun kesu ka zard phul miyan
rang jachta nahin hara mujh par

rona lazim nahin mere ham-dam
muskura qahqaha laga mujh par

khak mein ud gaya mera khaka
is tarah aasman gira mujh par

tum ghadi-bhar ko ruk nahin jate
rahm karte nahin zara mujh par

mujh ko jad se ukhadne wale
panchhi karte the aasra mujh par

meri mitti bhi 'faiz' sona hai
mehrban ho agar khuda mujh par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close