wasile kaamrani ke husul-e-zar mein rakkhe hain

wasile kaamrani ke husul-e-zar mein rakkhe hain
ki sidhe raste bhi to kisi chakkar mein rakkhe hain

mere dushman ko mujh par war karne ki zarurat kya
use malum hai kya log is lashkar mein rakkhe hain

mujhe rakkha to rakkha shak bhari nazron ke pahre mein
jo dushman the mere yaron ne apne ghar mein rakkhe hain

jo aankhon ko nahin hasb-e-zarurat dekhne dete
kuchh aise aaine bhi dhup ke manzar mein rakkhe hain

kai asrar hain khulte nahin jo zehn-e-adam par
kai nukte hain jo tafhim-e-khair-o-shar mein rakkhe hain

yahan bas ek iman ki hi gunjaish nahin nikli
hazaron waswase yun to dil-e-kafir mein rakkhe hain

ab itna zor se bhi chikhna achchha nahin lagta
qayamat hi sahi go arsa-e-mehshar mein rakkhe hain

gawahi kaun dene aaega aisi adalat mein
katahre bhi jahan qatil ne apne ghar mein rakkhe hain

aur ab sajde se uthne ki sakat bhi kis mein baqi hai
hamare rizq ai mabud kis patthar mein rakkhe hain

hamein 'shahzad' apne aap se hi puchhna hoga
jahan mein ek hami kyon panw ki thokar mein rakkhe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close