tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad kitne chup-chap se lagte hain shajar sham ke baad itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm chhod jaenge kisi roz nagar sham ke baad main ne aise hi gunah teri judai mein kiye jaise tufan mein koi chhod de ghar sham ke baad sham se pahle wo mast apni udanon mein raha jis ke hathon mein the tute hue par sham ke baad raat biti to gine aable aur phir socha kaun tha bais-e-aghaz-e-safar sham ke baad tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad laut aae na kisi roz wo aawara-mizaj khol rakhte hain isi aas pe dar sham ke baad