shab ko aankhon mein thaharte koi kab tak dekhe baadban khwab ka khilte koi kab tak dekhe apne hi sae se baaten kare kab tak koi itne chup chap dariche koi kab tak dekhe wahi aawaz jo patthar mein badal de mujh ko mud ke is tarah se pichhe koi kab tak dekhe itni yaadon mein koi yaad sukun de na saki is samundar mein jazire koi kab tak dekhe khair tum sa to kahan mujh sa nahin hai koi har taraf ek se chehre koi kab tak dekhe dukh-bhara shahr ka manzar kabhi tabdil bhi ho dard ko had se guzarte koi kab tak dekhe manzilen hum ko milin hain na milengi lekin dhul hote hue raste koi kab tak dekhe