tu ne gham khwah-makhwah us ka uthaya hua hai dil ye nadan to kisi aur pe aaya hua hai is zamane ko dikhane ke liye chehre par hum ne ek chehra-e-shadab chadhaya hua hai raat-bhar chand-sitaron se sajate hain use hum ne jis ghar ko tasawwur mein basaya hua hai ek chehra jise hum ne bhi nahin dekha kabhi apni aankhon mein zamane se chhupaya hua hai sahal lagta hai tujhe kya safar-e-sher-o-sukhan umr-bhar dhup mein jhulse hain to saya hua hai wird karte the kabhi jis ka shab-o-roz 'salim' jaane kya nam tha ab dil ne bhulaya hua hai