tu ne jab bhi aankh milai dida-o-dil par aafat aai ye sannata ye tanhai lekin teri yaad to aai dair-o-haram mein ja baithe hain duniya jin ko ras na aai tut gain sari zanjiren zulf tere rukh par lahrai manzil dur thi lekin hum ne ek qadam mein thokar khai tujh ko mubarak phul aur kaliyan mera hissa aabla-pai chhani hum ne nagri nagri sahra sahra khak udai kaun 'majid' is bhed ko jaane kya shai khoi kya shai pai